Friday, September 5, 2008

Zindagi...

Palon main bit-ti zindagi

Zindagi main dhondta kuch pal

Kato to khoon nahin

Khoon ko nahin dard

Jis raah main chala tha

Jaanne kahan gai hai who kho

Fir bhi pata nahin

Kya dhoond raha hun main

Zindagi main kuch pal

Ya palon main bachi kuchi zindagi

Kisi ko samajh pane ki chah

Ya khud ko samjha paane ki

Khara utarna dusron ki ummed par

Ya apni hi ummed par

Aur har baar chotta karna

Apni hi umeed ko

Kisi ko paane ki ummed main

Ulajh gaya hun main shayad

Itni bhhed main bhi tanha, akela

Tanhai main kuch dhoondta hua

Ek pyas, ek ladai

Bheed se

Apne aap se

Issi jadojhahed main gujarti zindagi

Kya hua jo na mila koi

Koi jo mujhe samajh sake

Mere tanhapan ko

Mere akelepan ko

Lekin yakin hai mujhe mujh par

Zindagi na haarne dunga tujhe main

Jeet lunga tujhe main ek din

Milegi kaamyabi ek na ek din..........

No comments: