Sunday, September 7, 2008

Main Aisa Kyun Hun?

Tanha zindagi tanha safar
dhoondo koi rehgujar
wahi din, wahi raat
dhoondho to dhoondo
wahi ek barsaat
jo samjh sake mere jazbaat
chuppa sakun main apne aansu
aur rok lun ek tufaan
tufaan apne andar ka

Na koi faltu umeed
dusron se, apne aap se
main jaisa hun, bas wahi to hun
kya jo tum khud ho,
wahi tumhara hona koi gunaah hai koi?

Agar sochta hun to dusron ki khushi
woh khushi jo mujhe na mil saki
kya dusron ki khushi sochna
aur waisa karna gunaah hai koi?

Jo kisi ko na mila zindagi main
aur de diya jo tha apne daman main
agar woh khush ho gaya
to kya woh gunaah hai koi?

Agar hai to kiya hai
woh gunaah,
dusron ko khush rakhne ka
sab to khush hain mere aas paas
phir kyun hun main aaj bhi udhaas?

Sab samjhana chahte hain khud ko
main main main sahi
har haalaat main
na mila koi
jo samajh sake mujh ko
mere haalaat ko

Dhoondta hun koi rehgujar
na saath na manzil
agar hai koi umeed
hai to bas ek hansi ek khushi
aur woh bhi dusron ke lab pe

Agar main aisa hun
to koi gunaah hai kya?
Main aisa kyun hun???

No comments: