Main
Zindagi ki satranj par
bisaat par
pyada ya fir
takatvar sipahi
Bisaat bichhi hui
ya khelne ke pratispardha se
ya main is pratispardha ka pyada
samajh nahin pata
har baar
har baar pyada ban kar reh gaya
to kaun hai is chakravuyh ka rachnakarta
kismat ya koi aur
kyun jeet jati hai zindagi
mujh se
meri zindagi se
Har chaal har shaks
soch samjh kar
fir bhi meri haar
kyun
soch raha hun main
Koi nahin mere paas
main aur meri tanhai
tanhai se puchu to bhi kya
kyun? kya? ka tak?
akhir kab tak
kyun sahara chahiye kisi aur ka
kisi ko gunahgaar thehraane ka
Jab ki main hun
aur koi nahin
koi nahin
kismat, woh to kabhi mere saath thi hi nahin
Kar raha hun
jee raha hun
jeeye jauynga...
Sunday, September 7, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment