Friday, February 5, 2010

Tu hi MANZIL hai....

Chale the hum kahan se kahan
ab to bas tu hi MANZIL hai.

Mazburiyon ke haathon bane hum khilona
ab to bas tu hi SAHARA hai

Chalti kab talak veerani raat
ab to bas savera hi SAVERA hai

Tera saath kya mila hame
ab to bas muskurana hi MUSKURANA hai

Zindagi ban gayi ek phool meri
ab to is mehak to charo aur FAILANA hai.

Sunday, January 31, 2010

Big Boss Ke Ghar 21 Din (TTC Experience)

4-5 saal ki mehnat ke baad aaya ye shub din
socha, ab bitenge big boss ke ghar aaram se 21 din
dusre hi din chalu ho gaye padmasadhna ke 5-5 round
pavanmuktasan kar ke ho gaya sara mast surround

Woh meditation thi, yog nidra ya sound sleep
pata nahin jo bhi thi, thi badi sweet
dho dho kar, kaat kar, deep fry kar diya
chatni kar ke, pees diya
Guruji aapne to pappu ko bhi paas kar diya

Big crowd ho ya introtalk, ab to sab kuch hai possible
kyunki ab ho hum sab hogaye hain enlighten
kabhi train bane, to kabhi animal bane
kabhi budha bane to kabhi hu ha kiya
har activity har process se
humne kuch na kuch sikh liya
pehle the faticher
ab aap ne bana diya hai teacher
aur dil mera garden garden GIRIN GIRIN ho gaya hai

Ab hai nai zindagi ki shuruat
aur (Guru Ji) aapse yehi aashirvaad chahte hain
Guruvar aapke marg par
apne aap ko nyochavar karna chate hain.....