Bheed main bhi tanha, akela
ba jaane dhoond raha ta kya
kabhi sakoon, kabhi shanti
kabhi anand, to kabhi khushi
Jab jhanka apne andar
woh bhi maun ke saath
to samajh main aaya
khushi aur anand to hai yahan
aur main dhoond raha tha na jaane kahan kahan
Jab kari aankhen band
aur le lambi gehri saansen
kho gaya na jaane kahan
aur pata hi nahin kab
vicharon pe laga ANKUSH
gyan ka PANKAJ khila
aur main AMBA ka DASS ho
Naach naach ke hua khali
dhyan laga ke hua magan
aur aisi laagi lagan
fir to na puch mere man ka haal
jab jud
Gudda guddi ke khel khel main
main srajanatmak ho gaya
dhyan ki prakriya kar kar ke
main hollow aur empty ho
aankhen band aur khol khol ke
main bansari ki tarah
khali lekin madhur aur mast ho
My sincere gratitude to ANKUSH dada and PANKAJ bhaiya who conducted our advance course and AMBA DASS ji who assisted the course.
No comments:
Post a Comment